Breaking
recent

Bewafa Shayari

Main to apni tanhaiyo se tang aa kar
Mahobbat ki talash me nikali thi..!!
Par..
Mujhe to mahobbat bhi aise mili jo aur tanha kar gai!!

Jis ke liye sab kuch luta diya humne,
wo kehte hai unko bhula diya humne,
gaye the hum unke aansu pochne,
ilzam de diya ki unko rula diya humne..!!

पढ़ रहा हूँ मै..
इश्क़ की किताब ऐ दोस्तों,
ग़र बन गया वकील तो..
बेवफाओं की खैर नही!
Padh Raha Hu Main
Ishq Ki Kitaab ae dosto…
Agar Ban Gaya Waqil To,
Bewafaon Ki Khair Nahi…!!!!

Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo,
Meri umeed thukra ke inkaar naa kiya karo,
Teri mohabbat me hum sab kuch kho bethe,
Jaan chali jayegi yu imtihaan naa liya karo.

Tere gham me tadap kar mar jayenge,
Mar gaye to tera naam le jayenge,
Rishwat de ke tujhe bhi upar bulayenge,
Tum upar aaoge to saath baith ke kurkure khayenge.

Chaha ke ye Aasman Hamara hota,
Khwaiso Ka Bhi Koi Kinara Hota,
ye Sonchkar Nahi Roka Us Musafir Ko,
Wo Jata Hi Kyoun Door Agar Wo Hamara Hota..

Jisne kabhi chahton ka paigaam likha tha,
Jisne apna sab kuch mere naam likha tha,
Suna hai aaj use mere zikar se bhi nafrat hai,
Jisne kabhi apne dil par mera naam likha tha.

Lafz ki shakal mein Ehsaas likha jata hai,
Yahan Pani ko bhi Pyaas likha jata hai,
Mere jazbaat se waqif hai meri Kalam,
Main Pyar likhun to Us bewafa ka Naam likha jata hai

Mausam ki misaal du..
Ya tumhari,
Koi puch betha hai
Badalna kisko kehte hai.

Har kisi ki zindagi ka maqsad..
Ek hi hota hain,
Khud chahe kitne hi Bewafa kyu na ho..
Talash humesha wafaa ki hi karta hain.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.