Breaking
recent

Bewafa Shayari

Kabhi Qarib To Kabhi Juda Hai Tu,
Jane Kis-Kis Se Khafa Hai Tu,
MujHe To TujH Par Khud Se Jyada Yakin Tha,
Par Zamana Sach Hi Kehta Tha Ki Bewafa He Tu !!!

Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte,teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta,
Aakhiri pal tak oo bewafaa , tujehe yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.

Arz kiya hai
Ek Bewafa ko Na aye Hamari Wafa Ka Yaqeen..
Ek Bewafa ko Na aye Hamari Wafa Ka Yaqeen..
Humne kaha Hum Mar Jayengy..
Aur Uss Ne kaha..
‘Ameen’

Anjaane Mein Dil Gavaa Baithe,
Is Pyaar Mein Kaise Dhoka Kha Baithe,
Unse Kya Gila Kare,
Bhool Toh Humari Thi,
Jo Bina Dil Waalon Se Dil Lagaa Baithe.

Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum,
Ek Ishare Pe Dunya Chhor Jate Hum,
Samandar K Beech Me Pohanch Kar Fareib Kiya Usne,
Wo Kehte To Kinaare Pe Hi Doob Jate Hum.


Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain,
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah,
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai.
लम्हा लम्हा सांसें ख़तम हो रही हैं,
ज़िंदगी मौत के पहलू में सो रही है,
उस बेवफा से ना पूछो मेरी मौत की वजह,
वो तो ज़माने को दिखाने के लिए रो रही है।

Log Kehte Hai Ki Pyar Ek Aisi Bimari Hai,
Jiski Koi Dawa Nahi Hoti,
Hum Kehte Hai Bewfai Ek Aisi Dawa Hai,
Jisse Ye Bimari Dubara Nahi Hoti.

Jindagi dene waale marta chhod gaye,
Sath dene waale tanhaa chhod gaye,
Jab jrurat padi hme apne hamsafar kii,
Vo sath chalne waale bhi apna rasta mod gaye.

Suna Hai Aaj
Uski Aankho Me Aansu Aa Gaye !!
Wo Bachcho Ko Sikha Rahi Thi Ki
Mohabbat ese Likhte Hain !!
सुना है आज
उस की आँखों मे आसु आ गये.!!
वो बच्चो को सिखा रही थी की
मोहब्बत ऐसे लिखते है..!!

Aaj bhigi hai palke kisi ki yaad me,
aakash bhi simat gaya hai apne aap me,
oas ki boonde aisi giri hai jameen per,
maano chand bhi roya ho unki yaad me..

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.