Breaking
recent

Bewafa Shayari

Rasta aisa bhi Dushwar na tha,
Bus Tum ko Hamari Chahat Pe Aitbar na tha,
Tum hi Chal na sake Hamare sath Warna,
Hamein to Jaan dene se bhi Inkar na tha.
रास्ता ऐसा भी दुशवार न था,
बस उसको हमारी चाहत पे ऐतबार न था,
वो चल न सकी हमारे साथ वरना,
हमे तो जान देने से भी इनकार न था.

Phool k sath kate bhi naseeb hote hai,
Khushi k sath gham bhi naseeb hota hai,
Yu to majboori le doobti hai har aashiq ko,
Warna khushi se bewafa kaun hota hai.
फ़ुलो के साथ कांटे नसिब होते है,
खुषी के साथ गम भी नसिब होता है,
यु तो मजबुरी ले डुबती हर आशिक को,
वरना खुषी से बेवफ़ा कौन होता है?

Jo hukum karta hai, wo iltija bhi karta hai,
Aasman bhi kahin jakar jhukta hai,
Aur tu bewafa hai to ye khabar ye bhi sun le,
Intezaar mera koi waha bhi karta hai.
जो हुकुम करता है, वो इल्तज़ा भी करता है,
आसमान कही झुका भी करता है,
और तू बेवफा है तो ये खबर भी सुन ले,
इन्तेज़ार मेरा कोई वहा भी करता है.

Meri Wafa Ke Kabil Nahin Ho Tum,
Pyar Mile Aise Insaan Nahin Ho Tum,
Dil Kyon Tum Par Aitabaar Kare,
Pyar Mein Dhoka De Aise Bewafa Ho.
मेरी वफा के क़ाबिल नही हो तुम,
प्यार मिले ऐसे इन्सान नही हो तुम,
दिल क्या तुम पर ऐतबार करेगा,
प्यार मे धोखा दिया ऐसे बेवफा हो तुम.

Tabdeeli jab bhi ati hai mausam ki adaoun main,
Kissi ka youn badal jana, bohat he yaad ata hai.

Phir usi ki yaad main dil beqarar hai,
Bichard ke jis se huyi shehar shehar roswayi.

Kaise bhula doon usko main,
Maut insanon ko aati hai, yaadon ko nahi.

Wo pathar dil sahi lakin hamara bhi ye daawa hai
Hamari muhabbat jinhein choo le wo pathar bhi dharakna seekh jate hain.

Mein tujh ko bhool chuka, Lekin ek umar ke baad,
Tera khayaal kiya tha ke chot ubhar aayi.

Hum ne ik baat ki jodai ki,
Aur us bewafa ne haad kar di.

Wohi zameen hai wohi asmaan wohi hum tum,
Sawal ye hai zamana badal gea kaise.

Nazar un ki zaban un ki tajab hai k is par bhi,
Nazar kuch aur kehti hai zaban kuch aur kehti hai.

Meri wafa pe bhi ae dost ehtabar na kar,
Muje bhi teri tarah sub se piar karna hai.

Bewafayi ki intehaa kar de,
Ta key maloom ho wafaa kya hai.


Wo apni zindagi main hogaye masroof itna,
Wo kis kis ko bhool gaya use ye bhi yaad nahi.

Phir se nikleingay talash-e-zindagi mein,
Dua karna is bar koi bewafa na miley.

Dhondo ge ujhre rishton main wafa k khazane,
Tum mere baad meri mohabbat ko yaad karoge.

Mat pooch meri mohabbat ki intehaa kaha tak hai,
Tu kar le sitaam teri taaqat jahan tak hai.

Wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
Dekhoon to zara tu beewafa kaha tak hai.

Ek muddat se mere haal se begana hai,
Jane zalim ne kis baat ka bura mana hai.

Neend bhi mehbooba ban gayi hai,
Bewafaa raat bhar nahin aati…

Tujhe bhulane ki koshish to buhat ki aye bewafa,
Teri yaadain gulab ki wo shaakh hai jo roz mehakti hai.

Na to majburi hai koi na to lachari hai,
Bewafai teri paidayishi bimari hai.

Na raha karo udaas kisi bewafa ki yaad mein,
Wo khush hai apni duniya mein teri duniya ko ujaar kar.


Usne tora tha mera dil us se koi shikayat nahi,
Ye Ushi ki amanat thi usko acha lga so tor diya.

Mere sath wo rahega to zamana kya kahega,
Meri ik yehi tamanna, Tera ik yehi bahaana,

Sameit kar le jaao apne jhoote waadon ke adhure qisse,
Agli Mohabbat me tumhe phir inki zarurat padegi,

Tujhe shikayat hai ke mujhe badal diya waqt ne,
Kabhi khud se bi to sawal kar tu wohi hai ya koi or hai.

Meri wafayen yaad karoge,
Rounge fariyad karoge,
Mujko to barbad kiya he,
Ab or kise barbad karoge.

Rehne de ye kitaab tere kaam ki nahi,
Is main likhe hue hain Wafaaon k tazkre..

Woh jo kehti thi, Hazaron milte hain roz tere jaise,
Us ke hathon pe mehndi lagi, Aaj barson ke baad.

Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa tha Usko,
Pehle pagal kiya aur phir mujhe pathar maare.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.