Breaking
recent

Dosti Shayari

Image result for dosti picबेशक कुछ वक्त का इंतजार मिला हमको,
पर ऊस बेवफाई से बढ़कर यार मिला हमको,
न रही तमन्ना किसी जन्नत की हमें ए दोस्त,
तेरी दोस्ती से वो प्यार मिला हमको ..
Beshak kuch waqt ka intezaar mila humko,
Par khuda se badhkar yaar mila humko,
Na rahi tammana kisi jannat ki,
Ae dost teri dosti se vo pyar mila humko.

Jam pe jam pine se kya faida,
Sham ko pee subah utar jayegi,
Arey do boond meri dosti ke pi le,
Zindagi sari nashe me guzar jayegi.

Ajnabi kuch milte hai aur jane kab dost ban jate hai,
Dil mein nahi baste vo to Dil ka hissa ho jate hai,
Badi haseen lagti hai duniya doston k saath yaro,
Par bada dard hota hai jab kabhi dost ajnabi ho jate hai..

Dosti ka rishta purana nahi hota,
isse bada khajana nahi hota,
dosti to pyar se bhi pavitra hai,
kyoki isme koi pagal ya dewana nahi hota.

Lab Khulte Hai Band Ho Jate Hai,
Sache Dost Milte Hai Bichad Jate Hai,
Per Jab Saath Bitaye Din Yaad Aate Hai Toh,
Hasti Aankhon Se Bhi Aansoo Nikal Aate Hai.

Ae dost zindagi bhar mujhse dosti nibhaana,
dil ki koi bhi baat humse kabhi na chupaana,
sath chalna mere tum dukh sukh mein,
bhatak jau mein jo kabhi sahi raasta dikhlaana.

Har doori mitani padhti hai,
har baat btani padhti hai,
lagta hai dosto ke pass waqt hi nahi hai,
aaj kal
khud apni yaad dilaani padhti hai.

Har zindagi pyar ki mohtaz nahi hoti…
or har safed imarat Taj nahi hoti,
Are pyar main marne walo kabhi yaari mein jikar dekho…
kyunki kalyug main koi ladki mumtaj nhi hoti…!!

Yaaron ki mehfil ka…
wo manzar bhi ajeeb sa tha,
jahan sab mere kareeb the…
par main kisi ke kareeb na tha.

Dooriyon ki na parwah kiya karo,
Jab dil chahe yaad kiya karo,
Dushman nahi hain dost hain hum aapke.
Mera sms na aaye to khud bhej diya karo!

Kuch Lamhe Aye Zindagi Me Kuch Lamho Ke Liye,
Aaj Fir Tarste Hain Hum Un Lamho Ke Liye,
Khuda Ne Kaha Kuch Maang Lo,
Maine Kaha Wo Lamhe Fir De Do Kuch Lamho Ke Liye

Aapka dost jab pragati kare tab
garv se kehna wo mera DOST hai,
Aur
jab aapka dost mushkil mein ho tab
garv se kehna Main uska DOST hun.

Zindagi bhi kya ajeeb mod leti hai
Ek waqt aisa tha jab hum apne dosto se kahte the
Chalo milkar kuch plan banate hain
Aur ab
chalo milne ka koi plan banate hain

Labo se chu kar ik jaam dete jana,
Hathon se apne ik paigam dete jana,
Meri mohabbat ko thukraya jo tune,
To ise dosti ka nam dete jana.

Har insan ki alag pehechan hoti hai,
Magar hamary msg ki alag shan hoti hai,
Har kisi ko nahi kartey hum msg..
Magar jis ko kartey hain..
uss main hamari jaan hoti hai.

Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.

Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du.

Tumhari yaad dil se jaane nahi denge,
Tumhare jesa dost khone bhi nahi denge,
Roj sharafat se SMS kiya karo warna,
Ek kaan ke niche denge aur rone bhi nahi denge.

No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.