Breaking
recent

Dil Shayari

Image result for dil shayari in hindiDil ki nazuk dhadkano ko..
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gham ne bhi muskurana sikha diya.

Kamaal Ki Funkaari Hain..
Tum Mein Aey-Jaana..!!
Waar Bhi Dil Par Karte Ho,
Aur Rehte Bhi Dil Mein Ho…..!!

Chote Se Dil Ke Afsane Bahut Hai,
Zindagi Se Zyada Zakhm Bahut Hai,
Maar Dalti Kab Ki Ye Duniya Par..
Dosto Ki Duao Mai Asar Bhut Hai !!!

Zindagi Hasne Ka Naam Hai,
Rona Kis Kaam Ka,
Jaane Wale Chale Gaye,
Unke Liye Dil Dukhana Kis Kaam Ka..

Tumhari palkon main bassa huwa ek khawb hoon,
Kahi adhura tutt kai bikhar na jaoon,
Tumhari ankhon mai jalakta hua ek anson hu,
Kahi beh kar raith mai mil na jau,
Tumhare dil mai bassa hua ek arman hu,
Kahi dharkan mai dabb kar kho ma jau,
Tumharae hothon pai bassi hua ek hassi hu,
Kahi kabi gam mai baddal na jau,
Tumhare labbo pai thirk ti hui ek kampkapi hu,
Kahi shoonay sai thirkna na bhul jau,
Mujhe hardam sinnae sai lagai rakhna tu,
Kahi judah ho kai duniya ki bhirr mai kho na jau,
Tumhare jism mai bassi hui ek ruh hu,
Kahi bichhur kai marr na jau!

साथ अगर दोगे मुस्करायेंगे ज़रूर,
प्यार अगर दिल से करोगे तो निभाएंगे ज़रूर,
राह में कितने कांटे क्यू न हो,
आवाज़ अगर दिल से दोगे तो आएंगे ज़रूर.
Saath agar doge muskrayenge zarur,
Pyar agar dil se karoge to nibhayenge zarur,
Raah me kitne kante q na ho,
Awaz agar dil se doge to aayenge zarur.

Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain,
Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain,
Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe,
Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain..

Dil todna humari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…
Dil me basa ke hum kisi ko Bhulate nahi..!!
Zindagi ke liye jeena zaruri hai,
jeene ke liye arman zaruri hai,
dil mein chahe hazaro gam ho,
phir bhi tere chehre pe muskan zaruri hai.

Sochta Hun Milunga Jab Tujhse,
Tujhe Seene Se Apane Lagaunga,
Chhupa Lunga Dil Mein Main Tujhko,
Kahin Door Na Fir Kabhi Jaaunga.

Yeh Doori Aur Humse Sahi Nahi Jaati,
Tere Paas Aane Ko Dil Karta Hai,
Bhula Kar Saare Duniya Bhar Ke Ghamon Ko,
Tere Aagosh Mein So Jaane Ko Dil Karta Hai.

Mayush To Hun Vaade Se Tere
Khuch Aas Nahi Aur Aas Bhi Hai
Main Apne Khayalon Ke Sadke
Tu Paas Nahi Aur Paas Bhi Hai
Dil Ne To Khushi Mangi Thi
Magar Jo Tune Diya Achha Hi Diya
Jis Dil Ko Talluq Ho Tujhse
Wo Raas Nahi Aur Raas Bhi Hai
Palkon Se Girte Ashkon Me
Tasveer Jhlakti Hai Teri
Deedar Ki Pyassi Aakhon Me
Ab Pyass Nhi Aur Pyass Bhi Hai.

Dil Ki Awaz Koi Pehchanta Nahi,
Kisko Kya Dard Hai Koi Janta Nahi,
Hum Bhi Nahi Chahte Aapko Pareshan Karna,
Magar Kya Kare Dil Hai Ki Manta Nahi.

Ruthi huyi zindagi ko manana toh aata hain,
Khud na hans sake par auro ko hasana to aata hain,
Hum khud naa bas sake kisi ke dil me to kya hua,
Par logo ko apne dil mein basana toh aata hain.

Apne karam se wo mera mukaddar bana gya,
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya,
Phulo se bhi jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya.

Kitna Chaahata Hun Tujhe Yeh Mujhko Pata Nahi,
Magar Tumhare Siwa Koi Aur Dil Mein Basa Nahi,
Zamana Dusman Ho Gaya Chaahat Ka Hamari,
Juda Ho Gaye Phir Se Hum Yeh Meri Khata Nahi.

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain,
Hamara Dil Churaye Baithe Hain,
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do,
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.

Zindagi lambi hai dost banate raho,
Dil mile na mile hath milate raho,
Taj Mahal banaana to bahut costly hai,
Per har gali mein ek Mumtaz banate raho.

Pani Aane Ki Baat Karte Ho,
Dil Jalane Ki Baat Karte Ho,
Char Din Se Muh Nahi Dhoya,
Tum Nahane Ki Baat Karte Ho.


No comments:

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();
Powered by Blogger.